Mobile Phone Ki Internet Speed Kaise Badhaye 7 Badiya Tarike

Doston"
Aaj 4G ka jamana hai but in sab ka kya fayda jab phone me 2G bhi sahi se nahi chalta ho. Android user ko ye problem rahti hai ki internet pack dalane ke bawjud bhi mobile me net fast nahi chalta hai. Aysa nahi hai ki phone me internet speed slow chalne ki kharab internet connection hi ho. Actually android mobile me slow net chalne ki kuch or bhi wajah hoti hai














Agar aap ye post padh rahe ho to jahir hai aap apne mobile ki slow internet speed se pareshan hai. Don’t worry ab aapko pareshan hone ki jarurat nahi hai.Is post me mai aapko internet speed fast karne ki aysi trick btane ja raha hu. Jo real me aapke smart phone ki internet speed ko  fast bana degi
Slow internet ka karan aapka mobile bhi ho sakta hai. Isliye aapko nri mobile buy karte time in bato ka dhyan rakhna chahiye. Phone kharidte samay uski Internal Memory par dhyan de, Mobile ki internal memory jyada honi chahiye. Sath hi android mobile ki Ram and Proccessor ka bhi dhyan rakhe. Aapke mobile ki jitni jyada ram hogi or jitna badhiya processor hoga. Utni hi badiya phone ki internet speed or performance hogi. Isliye naya mobile kharidte time in cheezo ka khas khyal rakhe
Mobile me dheemi internet chalane ki sabse badi wajah hoti hai ki aapka internet browser update nahi hai. I sure agar aap internet browser ko update kar lete ho to internet speed 20% tak badh jayegi or fast browsing hogi. Jab aapko browser me slow browsing hoti mahsoos ho to samajh lijiye ab is browser ka latest version aa gaya hai. Log smartphone me sabse jyada uc browser use karte hai or uc browser hamesha latest version me achi speed deta hai.
                              "Actually humare kisi bhi browser ko adhik samay tak use karne se usme virus jaisi problem ho jati hai .Isliye software company browser update bhejti rahti hai. Jisse browsing experience bana rahta hai. Isliye aap jab bhi aapko last update ki notification mile to aap browser ko jarur update kare
Browser ke sath hi Google Play Service or Google Play Store ko bhi update karna na bhoole. isse bhi internet speed me fark padta hai or aapke mobile ko better processing milti hai. Plat store ko nahi to google play service ko to jarur update karte rahe.


Jab bhi aap safar me hote ho. Fir chahe aap train ,bus, metro ya kisi bhi or vehicle me ho to aap safar me internet jarur use karte honge. Ayse time me unsecured websites se virus attak ka khatra jyada badh jyada hai. Virus se aapke mobile par bura asar padta hai jisse internet speed kam ho jati hai.
Isliye aapke mobile me Anti-virus ka hona Bahut jaruri hai. Important bat ye hai ki virus scanner se aapke phone ki internet speed to badhegi hi sath hi aapka mobile bhi secure rahega.

Aajkal play store par bahut sare games and other features application available hai ki har koi unhe istemal karna chahata hai. Agar aapke pas android phone hai to is bat me koi shaq nahi hai ki aap game app use karte hoge.
Mobile me extra apps use karne se internal memory full ho jati hai. Jiski wajah se aapke smartphone ki processing slow ho jati hai or internet bhi dheemi chalne lag jati hai. Isliye phone me se sabhi extra apps ko uninstall kar de. Or aap chaho to un apps ko bhi delete hata sakte ho jo phone me pahle se ho or aapke koi kaam ke nahi hai. Isse aapke mobile ki memory 40% tak badh jati hai.
Jiesa ki maine upar btaya tha ki phone me fast net chalane ke liye internal memory jyada honi chahiye. So aap apne phone me internet memory ko badhane ke liye faltu ke application ko remove kar sakte ho sath hi phone ke apps ki cache history or unwanted files ko clear kar ke internal memory badha sakte ho. Internal memory badhane ke 3 badiya tarika hai.
  1. Clear Cache: Apne smartphone ke apps ki samay samay par caches delete karte rahe. Iske liye aap android phone ki settings > storage > cached data ya apps par ja kar caches ko remove kar sakte ho.
  2. Uninstall Extra Apps: Aap phone me se un sabhi application ko uninstall kar sakte ho jo aapke kisi kaam ke nahi hai or jinhe aap bilkul bhi use nahi karte.
  3. Delete Unwanted Files: Android phone me ek se badi problem hoti hai ki usme memory card and phone memory me unwanted files apne aap banti rahti hai. Jiski wajah se internal memory bhar jati hai. Aap kuch time ke bad in unwanted files ko delete karte rahe
Mobile ki internet speed slow hone ka ek or bada reason hota hai phone me badi badi files jaise HD movies, videos download karna. Aapko btana chahunga ki jab hum mobile me jyada badi files download karte hai to internet automatically slow ho jata hai. Shayad aapne bhi ye dekha ho. Isliye phone me big size ki file download karne bache.
Sath hi phone ke download folder ko khali rakhe. Aap jo bhi item download kare use download karne ke bad memory card me move kar le.
Mobile me slow internet chalne ka facebook apps bhi bada reason hai. Facebook apps ko use karne par isme bahut jyada caching add ho jati hai or ye akele apps hi phone memory me 200 MB se jyada size ki jagah bana leta hai. Or sabse badi bat facebook  apps me kei bar hack hone ki shikayat bhi rahit hai. Ayse me aap facebook Aplication ko uninstall karke apne mobile speed ko badha sakte hai. Ye trick mai already use kar chuka hu isse lagbag 10% internet speed fast ho jati hai.
Finally, Mai aapse kahna chahunga ki agar aapko apne phone me 2G ko bhi 3G ki tarah use karna hai to hamesha apne phone ko clean rakhe. Aapka mobile jitna clear hoga utni hi badiya service dega. Aap ye trick try karke dekhe mujhe wishwas hai aap jarur kahenge ki wastav me ye tips kargar hai or really me work akrti hai.
Agar aapko ye article acha lage to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare jisse wo bhi apne mobile me fast net chala sake.

2/Post a Comment/Comments

  1. nice post sir
    https://shivatechnical.com/high-quality-backlink-kaise-banaye/

    ReplyDelete

Post a Comment

Stay Conneted

Follow Us